KYA MAYYAT KO GHUSL DENE WALA GHUSL KAREGA YA WUZU KAAFI HAI?ย 

๐Ÿ“ฎKya mayyat ko ghusl dene wala ghusl karega ya wuzu kaafi hai ?
ุจูุณู’ู…ู ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุงู„ุฑู‘ูŽุญู’ู…ูŽูฐู†ู ุงู„ุฑู‘ูŽุญููŠู…ู
โœ’Tahreer : Shaikh Maqbool Ahmed Salafi

https://โ“ฃelegram.me/paighaameislam
๐Ÿƒ๐Ÿ”ดMayyat ko ghusl dene wale se mutalliq logon mein teen aqwaal hain.
1โƒฃPahla Qaul – Woh ghusl kare.

2โƒฃDusra Qaul – Woh wuzu kare. 

3โƒฃTeesra Qaul – Sirf haath

 dhoye agar pahle wuzu kar chuka hai. 
โ˜‘Jo log mayyat ko ghusl dene walon ke liye ghusl ke wujoob ke qayel hain un ki Daleel yeh hadees hai.
๐Ÿƒ๐Ÿ”ดNabi sallallaho alaihi wasallalm ka farmaan hai :
ู…ูŽู†ู’ ุบูŽุณู‘ูŽู„ูŽ ุงู„ู’ู…ูŽูŠู‘ูุชูŽ ููŽู„ู’ูŠูŽุบู’ุชูŽุณูู„ู’ุŒ ูˆูŽู…ูŽู†ู’ ุญูŽู…ูŽู„ูŽู‡ู ููŽู„ู’ูŠูŽุชูŽูˆูŽุถู‘ูŽุฃู’
Tarjuma : Jo shakhs kisi mayyat ko nahlaaye to woh ghusl kare aur jo usey uthaye woh wuzu kare.

๐Ÿ“—(Abu Dawood: 3161)
๐Ÿ”—Is ke ilawa aik aur Daleel milti hai.
ุนูŽู†ู’ ุนูŽุงุฆูุดูŽุฉูŽ ุฃูŽู†ู‘ูŽู‡ูŽุง ุญูŽุฏู‘ูŽุซูŽุชู’ู‡ู  ุฃูŽู†ู‘ูŽ ุงู„ู†ู‘ูŽุจููŠู‘ูŽ ุตูŽู„ู‘ูŽู‰ ุงู„ู„ู‘ูŽู‡ู ุนูŽู„ูŽูŠู’ู‡ู ูˆูŽุณูŽู„ู‘ูŽู…ูŽ ูƒูŽุงู†ูŽ ูŠูŽุบู’ุชูŽุณูู„ู ู…ูู†ู’ ุฃูŽุฑู’ุจูŽุนู : ู…ูู†ูŽ  ุงู„ู’ุฌูŽู†ูŽุงุจูŽุฉูุŒ ูˆูŽูŠูŽูˆู’ู…ูŽ ุงู„ู’ุฌูู…ูุนูŽุฉูุŒ ูˆูŽู…ูู†ูŽ ุงู„ู’ุญูุฌูŽุงู…ูŽุฉูุŒ ูˆูŽุบูุณู’ู„ู ุงู„ู’ู…ูŽูŠู‘ูุชู

Tarjuma : Umm ul-momineen Sayeda Aisha Razi Allahu anha ne bayan kiya ke Nabi sallallaho alaihi wasallam chaar baton se ghusl kiya karte they. Janabat se, jume ke roz, seengi lagwa kar aur mayyat ko ghusl de kar.

Is Hadees ko Allama Albani Rahimahullah ne zaeef qarar diya hai. 

๐Ÿ“Œ(Zaeef Abi dawood: 3160)
โฌ†Azeemabadi sahab ne bhi isey zaeef qarar diya hai. ๐Ÿ“’(Aunul Mabud: 8/243)
โž–To yeh rivayet zaeef hai, is se Daleel nahi pakdi jayegi,rahi baat oopar wali pehli rivayet ki to woh rivayet bazahir wujoob ka taqaza kar rahi hai magar sahih aasaar se pata chalta hai ke yahan wujoob ka istedlaal karna durust nahi hai.
1โƒฃPehla asar: 

ู„ูŠุณ ุนู„ูŠูƒู… ููŠ ุบุณู„ู ู…ูŠู‘ูุชููƒูู…ู’ ุบุณู„ูŒ [ุฅุฐุง ุบุณู‘ูŽู„ู’ุชูู…ูˆู‡ูุŒ ูุฅูู†ู‘ูŽ ู…ูŠุชูŽูƒูู…ู’ ู„ูŠุณูŽ ุจู†ุฌูุณูุŒ ูุญุณุจููƒูู…ู’ ุฃู†ู’ ุชุบู’ุณูู„ููˆุง ุฃูŠุฏููŠูŽูƒูู…ู’]

Tarjuma : Ibn e Abbas Razi Allah anhuma ka kahna hai ke mayyat ko ghusl dene se tumahre liye ghusl karna wajib nahi hai jabke tum usey ghusl do kyunke tumhari mayyat najis (napaak) nahi hoti to tumhara haath dho lena hi kaafi hai.

๐Ÿ“•(Sahih ul Jami’: 5408)
โซImam Haakim, Imam Zahbi aur Allama Albani Rahimahumullah ne isey sahih qarar diya hai aur Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ne hasan kaha hai.
2โƒฃDosra asar : 

 ุนู†ู ุงุจู†ู ุนู…ุฑ : ูƒูู†ู‘ูŽุง ู†ุบุณู‘ูู„ู ุงู„ู…ูŠุชูŽุŒ ูู…ูู†ู‘ูŽุง ู…ู† ูŠูŽุบุชุณูู„ูุŒ ูˆู…ู†ุง ู…ู† ู„ุง ูŠุบุชุณู„ู

Tarjuma : Ibn Umar Razi Allah anhuma se rivayet hai woh kehte hain ke hum log mayyat ko ghusl dete the to hum mein se baaz log ghusl karte aur baaz log ghusl nahi karte.

โคดIs asar ko Albani sahab ne sahih sanad qarar diya hai. (Ahkamul Janaiyez : 72) 
3โƒฃTeesra asar : 

Isi tarah Asma Bint e Umais Razi Allah anha wala asar bhi muayyid hai jab unhon ne apne shohar Abu Bakr Siddiq Razi Allah anhu ko un ki wafaat par ghusl diya to unhon ne muhajreen se poocha ke sakht sardi hai aur mein roze se hun kya mujhe ghusl karna padega to sahaba ne jawab diya ke nahi. 

๐Ÿ“˜(Musannaf Ibn e Abi Shaiba: 6123, Muwatta Imam Maalik : 521) 
๐Ÿƒ๐Ÿ”ดKhulasa๐Ÿ”ด๐Ÿƒ
โ–ซIn aasaar ko samne rakhte hue yeh saabit hota hai ke mayyat ko ghusl dene wale ke haq mein ghusl karna Mustahab hai, agar woh ghusl nah kare to koi harj nahi.

โ˜‘ Yahi mauqif Mubarakpoori sahab ka hai aur unhon ne tohfatul Ahwazi mein imam Shaukani Rahimullah se bhi isi mauqif ko naqal kya hai jo saare dalail mein jama o tatbeeq ki soorat hai.

โž–Albatta wuzu ke mutalliq Sheikh Ibn e Baaz Rahimahullah ne zikr kiya hai ke mayyat ko ghusl dene wala laziman wuzu kare yeh tamam ahl e ilm ka mauqif hai. Yeh wuzu namaz e janaza ke liye hai jisa ke har namaz ke liye karte hain, baghair wuzu ke koi namaz nahi hogi .

ู„ูŽุง ุตูŽู„ูŽุงุฉูŽ ู„ูู…ูŽู†ู’ ู„ูŽุง ูˆูุถููˆุกูŽ ู„ูŽู‡ู

Tarjuma : Us ki namaz nahi jis ne wuzu nahi kiya.

๐Ÿ“—(Abu Dawood: 101)
๐Ÿƒโ–ซAgar mayyat ko ghusl dene wala pehle se wuzu kiya huwa hai aur uska haath mayyat ki sharmgah ko lag gaya to phir wuzu karna wajib hoga kyunke sharmgah ko haath lagne se wuzu toot jata hai lekin agar mayyat ki sharmgah ko haath nah lagey (aur ghusl dene mein yehi tareeqa apnaye ke haath pe dastaana lagale aur phir mayyat ki gandagi saaf kare) to usey wuzu karna zururi nahi hai lekin kam se kam haath dhona zururi hai jaisa ke oopar sahih ul Jami wali rivayet mein mazkoor hai.
๐Ÿƒ๐Ÿ”ดMazeed chand ahkaam o masaail:
๐Ÿ”นAfzal amal : Ghusl dene waale ke haq mein afzal yeh hai ke woh ghusl kar le taaki Istehbaab par amal bhi ho jaye aur mayyat ko ghusl dene, use barabar dekhne aur harkat dene se zehan mein jo fitoor paida ho gaya hai woh khatm ho jaye aur taaza aur nasheet ho jaye.

๐Ÿ”ธEhtiyaati amal : Agar ghusl na kar sake to kam se kam wuzu kar le garche unhon ne pehle wuzu kiya ho. Agar pehle wuzu nahi kiya to namaz e janaza ke liye wuzu to beharhaal karna hai.

Jis ne mayyat ko ghusl diya hai use apna kapda utaarne ya saaf karne ki koi zaroorat nahi hai kiunki jab use apna badan dhona zaroori nahi to kapda badarja e awla nahi dhona hai.

Janaza ki namaz ke liye kiye gaye wuzu se doosre waqt ki namaz padh sakta hai kiunki is wuzu aur doosri namaz ke wuzu mein koi farq nahi hai.

Yeh qaul ยซูˆู…ู† ุญู…ู„ูŽู‡ู ูู„ูŠุชูˆุถู‘ูŽุฃยป (jo mayyat ko uthaye woh wuzu kare) is ka matlab yeh nahi hai ke jo jo mayyat ko kandha de woh sab wuzu karen. Is ka matlab yeh hai ke jo mayyat ko harkat de, idhar se udhar utha kar rakhe, aik charpaaye se doosri charpaaye par le jaye. Aur is mein mazkoor wuzu namaz e janaza ke liye wuzu karna hai.

Wallahu A’lam.

Advertisements

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Google+ photo

You are commenting using your Google+ account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

w

Connecting to %s

%d bloggers like this: