📮SOOD KHANA 36 BAAR ZINA KARNE SE BHI BADTAR HAI

📮SOOD KHANA 36 BAAR ZINA KARNE SE BHI BADTAR HAI

Bismillahhirrahmanirrahim

🔴FARMAN E ILAHI

✔ “Jo log sood khate hain wo Qayamat ke din us shakhs ki tarah uthenge Jinhe shaitan  ne lipat kar deewana bana liya ho, ye halat unki is wajah se hogi ki unhone kaha tha ki kharid wa farokht (tijarat/businesses) bhi sood ki tarah hai jabki Allah Ta’ala ne kharid aur farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram, phir jisko uske rab ki naseehat pahunchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pahle le chuka hai wo usi ka hai aur uska muaamla Allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta rahta hai to ye log jahannami hai ye ismein hamesha rahenge”
📗 Surah Baqra 2 : 275

✔”Allah Ta’ala sood ko mitaata hai aur sadqe ko badhaata hai aur Allah Ta’ala kisi na-shukre aur gunehgaar se muhabbat nahi karta”
📗Surah Baqra 2 : 276

✔”Aye imaan waalo Allah Ta’ala se daro, jo sood baaqi reh gaya hai wo chhod do agar tum sach much imaandaar ho”
📘Surah Baqra – 2 : 278

✔”Aur agar aisa nahi karte, to Allah Ta’ala se aur uske Rasool (Sallallahu Aalaihi wasallam) se ladne ke liye tayyaar ho jaao, haan agar tauba karlo to tumhaara asal maal tumhaara hee hai, na tum zulm karo, na tum par zulm kiya jaaye”
📕Surah Baqra – 2 : 279

🔴Ahadees

✔☘Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne Laanat ki hai Sood (byaaj) lene wale par aur Sood dene wale par , aur Sood likhne wale par aur Sood ke gawahon par aur farmaya wo sab barabar hain
📚Sahih Muslim, 1598

✔☘Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :sood me 70 darje hain, isme sabse halke darje ka gunah aise hai jaise mard ka apni maa ke sath zina karna( having intercourse with his mother).
📚Sunan ibn Majah, 2274 Hasan

✔☘Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
“Koi shakhs agar Ek dirham bhi sood jan bujh kar khata hai to aisa shakhs Allah ke Qareeb 36 baar zina karne wale se bhi zyada badtar hai.
📚Narrated by Ahmad and al-Tabaraani; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Jaami’, no. 3375

📮KYA AB BHI AAP SOOD KHAYENGE❓
Quran Aur Hadees ki roshni me hame ye malum chalta hai ke Sood khana kitna bada aur badtareen gunah hai aur iski saza jahannum hai. To Kya Ab bhi aap Sood Khayenge ❓
🔘Meri ye darkhwast hai ke ap sab Allah ke is paighaam ko zada se zada jaha tak bhi pahucha sakte hai ise pahucha de.Najane kitne log anjane me is gunah me mubtila hai aur kuch janbujh kar ise ek chhota gunah samjh kar. Ho sakta hai koi shakhs isse hidayat pa jaaye aur is badtareen gunah se tauba karle.
Ai Allah Ta’ala tamam Musalmano ko is badtareen Gunah se bacha aur sabko halal Rozi Nasib kar Duniya ki lalach se bachal aur Akhirat ka talabgaar banade.Beshak ye Maal o daulat yahi rah jana hai. Ameen

Leave a comment