DARGAH ki SHARAI HAISIYAT ❓

📮 DARGAH ki SHARAI HAISIYAT ❓

🍃🍂Bismillahhirrahmanirrahim 🍃🍂

🚸Awliya ke ziyarat ke liye unke Dargah par jana, Phool-chadar chadanaa, unse mannate mangna ye sab dur ki batein hai lekin aaj hame dekhna hai ke sab se pahle SHARAI taur par DARGAH banana kaisa hai ? Pyari Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ka kya hukm hai DARGAH banane ke bareme.

💠Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ko pukhta karne aur us par likhne aur us par tameer karne aur us par chalne se mana farmaya hai.

📙(Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1040-Sahih)

💠Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qabro ko pukhta karne , us par tameer karne aur us par baithne se mana farmaya hai.

📙(Sunan Nasaii, Vol 1 , 2032-Sahih)

Is Hadees ke ain mutabik…

1⃣Dargah Unchi banai jaati hai.

2⃣Dargah pukhti (mazboot) banayi jaati.

3⃣Dargah par construction (taamir) kiya jaata hai.

4⃣Us par baitha jata yaani Mujawari ki jaati hai.

🔴🔴DARGAH par SAJDA, Ruku, Qiyam, MANNAT, Dua karna kaisa hai ❓

“Jab Maaz bin Jabal Sham se wapas huye to unone Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ko sajda kiya, Nabi s ne kaha, Maaz Yeh kya hai ? Unone kaha, Ye Allah ke Rasool, mai ne Sham me dekha ke log unke Ibadat guzaro aur sardaro ko sajda kar rahe the, aisa karne ki daleel unke Nabiyo se de rahe the. Rasoolullah s ne kaha  : wo log jhoot bol rahe hai. Ye Maaz, agar mai kisi ko sajda karne ki izazat deta , to mai hukm deta ke Biwi  apne Shohar ko sajda kare kyunke Shohar  ka martaba biwiyo se bada hai. Ye Maaz, kya tu Sajda karne ko sonchenga ke agar tera guzar mere Qabr ke paas se huwa to ? Unone kaha : nahi.
📙(Musand-e-Ahemad)

aur 1 dusari Hadees me ….

Rasoolullah Sallellahu Alaihi Wasallam Ne Kaha:

”Ya Allah Meri Qabar Ko Buth (ibadatgaah)  Na Banana Jiski Puja Ki Jaye. Allah Ka Us Qaum Par Saqt Gazab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ibaadat Gaah Bana Lete Hai”.
📙(Muwatta Imam Malik 9 : 88)

Aisha (R) Farmati Hai ke SallellahuAlaihiWasallam Ne Aakhri Waqat Me Farmaya:

”Yahood Wa Nasara Par Allah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabro Ko Sajda Gaah Bana Liya”.

Agar Is Baat Ka Khouf Na Hota Ke Rasoolullah Ki Qabr Ko Bhi Sajda Gaah Banaliya Jayega To Aap Ko Band Hujre (room) Me Dafan Na kia Jata Aur Aap Ki Bhi Qabr Khuli Hoti.
📙(Sahih Bukhari – 1390, Sahih Muslim – 529)

Is 3 Hadeeso ke mutabik…

1⃣Pyare Nabi SallallahuA’laihiWaSallam ne khud apni mazaar ya Dargah banane aur uski IBAADAT (Pooja) karne se roka hai.

Jab Nabi ki DARGAH banana jayez nahi to fir Nabi se nichhle darje walo ki DARGAH banana kaisa hai? kya koi Wali Allah ke Rasool se bada hota hai?

Agar DARGAH banana jayez hota to sab sabse pahle hamare pyare Nabi s ki Dargaah banayi jaati.

2⃣Aaj Dargaaho ko SAJDA GAAH bana liya gaya.

3⃣Awliya ke Qabro par yanai Dargaah par Ruku, sajde, qiyam  (adab se thaherna), mannat, niyaaz, dua mangna ye saab unki Ibaadat karne jaisa  hai. Isliye ye SHIRK hai.

4⃣Dargah taazimi ya ibadati SAJDA karna yani unki Ibadat hai yaani SHIRK hai.

5⃣Muhammadur Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne DARGAAHO (Qabro) ki ibaadat karne walo par lanat bheji hai.

Isliye Allah ne kya khub kaha :

“Un me se Aksar log Allah par Imaan  rakhne ke bawajood bhi MUSHRIK hi hai”.

📙(Surah 12 Yousuf: Ayat 106)

“Yaqeen maano ke jo shaqs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne us par JANNAT HARAM kardi hai (حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ ), us ka thikaana jahannam hee hai aur gunehgaaro ki madath karne waala koyi nahi hoga.

📙(Surah 05 Maydah : Ayat 72)

Allah ke zaat, ibaddat aur Asmaa wa sifaat me kisi ko sharik karna SHIRK hai ham jisko sharik kar rahe wo chahe Nabi aur Wali hi kyun na ho.

Ya hamare ham sabko DEEN ki sahih samaj jo samaj tu ne Nabi SallallahuA’laihiWaSallam aur Sahaba ko di thi.

Wallahu alam sawab.

PREPARED BY : ABU INAYAH

Leave a comment