📮ZAKAT UL FITR KAB DENA CHAHIYE❓
Jawab📕
✔Abdullah bin Umar Radi Allahu’anhu farmate hai:
Rasool Allah Sallallahu Aalaihi wasallam ne logon ko (Eid ki) namaz ke
liye jaane se qabl Zakaat-ul-Fitr dene ka hukum diya.
📚[Bukhari: Az-Zakaat 1509; Muslim: Az-Zakaat 22-(986)]
Alfaaz Muslim ke hai.
✔Nafi’ se Riwayat hai Ibn Umar Radi Allahu’Anhu Zakaat-ul-Fitr us shaksh ko dete jo usey qubool karta tha aur log Zakaat-ul-Fitr ek ya do din pehle hi de diya karte the.
📚[Bukhari: Az-Zakaat 1511]
Advertisements