📮RAMZAN KE FAZAIL*
⭐ _Part:_7⃣
🕌 *RAMAZAN MEIN SAKHAWAT KE FAZAAIL* 🕌
1⃣ *Nabi ﷺ ka Ramzan mein sakhawat mein badh jana*
⭐Ibn Abbas Radhiallahu Anhu farmate hain ki Allah ke Nabi ﷺ logon mein sab se jyada sakhi the aur Aap ki sakhawat us waqt badh jati jab Aap Ramzan mein Jibreel se mila karte, aur Jibreel Ramzan mein har raat Aap se mulaqat kiya karte yahan tak ki mahina khatam ho jata. Allah ke Nabi ﷺ Jibreel ko Qur’an sunaya karte the, pas jab Aap Jibrail se milte toh Aap ki sakhawat tez hawa se bhi jyada badh jati.
📚[Bukhari: as-Sauum 1902; Muslim: al-Fazaail 4268]
2⃣ *Rozedar ko Iftaar karane ki Fazilat*
⭐Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya: Jo kisi Rozedar ko Iftaar karaye uske liye us Rozedar ke misl sawab hai lekin us Rozedar ke sawab mein koi kami nahi ki jayegi.
📚(Musnad Ahmad, Tirmizi, Ibn Majah, Ibn Hibban) ✍🏼An Jiyad bin Khalid
📒[Saheeh ul-Jami’ 4615] 📊(Saheeh)
🕌 *RAMZAN MEIN UMRAH KARNE KI FAZILAT* 🕌
⭐Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne Ansar ki ek Aurat (Umm Sinan) se farmaya: Jab Ramzan aajaye toh us mein Umrah karna is liye ki Ramzan mein Umrah Hajj ke barabar hota hai. Ek aur riwayat mein hain “Mere saath Hajj ke barabar hai”
📚[Bukhari: Al-Hajj 1782 – Muslim: Al-Hajj 221-(1256)]
✍🏼An Ibn Abbas