📮2-3 DIN KE LIYE KYA KOI I’TIKAAF KE LIYE BAITH SAKTA HAI❓
Jawab📕
Das dino ke liye I’tikaaf karna behtar hai kyunki hamare Nabi(saw) aisa karte the.
✏Mafhoom e Hadees
✔Aisha(r.a)se riwayat hai
“Nabi(saw)Ramzan ke akhiri ashre(yani akhiri 10 rat) me i’tikaaf kiya karte the”
📚(Bukhari,2026)
👉Agar koi muslim das din ke liye i’tikaaf nahi kar sakta to wo jitna kar sakta hai utna kare.2 din 3 din ya usse bhi zada ya usse bhi kam bhale ek hi raat kare.
✔Sheikh ibn bazz(raheemullah)ne kaha;
I’tikaaf ka matlab yani masjid me Allah ki ibadat ke liye thaherna,chahe zada waqt ke liye chahe to kam waqt k liye,wo chahe ek din do din ya usse b zada.
📑📔Fataawa al-Shaykh ibn Bazz,15/441
Advertisements