📮VALENTINE DAY MANANA KAISA HAI❓

📮VALENTINE DAY MANANA KAISA HAI❓

Prepared By : Bint e Iqbal

https://ⓣelegram.me/paighaameislam

🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم🍃


Valentine day Ek aisa din hai jiska intezar aksar ladke-ladkiyan bahut hi besabri se karte hain Ke Valentine day aaye aur wo Allah ke Qanoono ko tod dale.
Bhale hi niyat ye na rahti ho kyunki bahut se log kam ilmi ka bhi shikar hote hai jiski ek sabse badi wajah Sahi ilm e deen se doori hai.
Valentine day ki history jo bhi rahi hogi lekin aaj log is valentine day ke din sarey-aam khul kar zina karte hain.Jabke Allah ta’ala ne hame Zina ke qareeb bhi jane se mana kiya hai.

Allah Taa’la farmata hai

▫▫🍃 “Khabardaar zina ke qareeb bhi na bhatakna, kyunki wo badi be-hayaayi hai aur bahut hee buri raah hai”
(Surat Bani Israeel – 17 : 32)

Agar Ham Ghaur Karen To payenge ke Valentine Day ke din sirf aur sirf Allah ke Banaye Qanoono ko bedardi se toda jata hai. Jo ki ek musalman ke liye bahut hi sharmnaak baat honi chahiye.
Aj log behayaai me itne doob chuke hai ke dekh kar koi pahchan nahi sakta ke kaun muslim hai aur kaun ghair muslim, jabki Allah ne musalman ki ek alag pahchan di hai, agar ek shakhs musalman lafz ke taqazo ko pura karne lage to wo sabse alag dikhega.

Aaiye dekhte hain ke in behayaai phailane walo ke liye Allah Taa’la kya farma raha:

▫▫🍃 Jo log musalmaano mein be hayaayi phailaane ki aarzu mandh rehte hai, un ke liye duniya aur akhirat mein dardnaak azaab hai, Allah sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jaante.”
📖(Surat un Noor 24 : 19)

Kya ye ayat kaafi nahi Dilo me khauf bharne ke liye, ke wo dardnak azaab kab aur kaha a pakde aur duniya me zillat ka sabab bane. Yaad rakho musalmano Allah ka wada sachha hai Uska azaab kahin bhi aur kabhi bhi akar pakad lega aur duniya o akhirat dono me ruswa karega.

Allah Taa’la ne Behayaai ki baato ko haram kaha hai.

“▫▫🍃 Ap kah dijiye ke mere Rab ne to Behayaai ki baato ko Zahir ho ya Posheeda aur gunah ko aur Nahaq zyadti ko haram kiya hai.”
📖(Surat Ul Aeyraaf 7 : 33)

▫▫🍃 “Allah ta’ala adl(insaaf) ka bhalaayi ka aur qaraabat’daaro ko(Kharch se madad) dene ka hukm deta hai aur be’ hayaai ke kaamo, Aur Naa Maqool harkato aur zulm wa zyaadati se rokta hai, wo khud tumhe nasihate kar raha hai ke tum nasihat haasil karo”
📖(Surat un Nahal 16 : 90)

Aye be-khauf musalmano Allah ki di hui nasihaton ka faida uthao kahi ye behayaai tumhe us Aag me na dhakel de jiska indhan patthar aur insan hain.

Allah Taa’la musalmano ko hukm deta hai ke wo islam me pure pure dakhil ho jaaye warna shaytan to imanwalo ka khula dushman hai aur uska maqsad hi imanwalo ko bahkana aur jahannum ki taraf le jana hai.

▫▫🍃” Imaan walo! Islaam mein pure pure daakhil ho jao aur shaitaan ke qadmo ki tabedaari na karo, wo tumhaara khula dushman hai.”
📖(Surat ul Baqara – 2 : 208)

▫▫🍃” Imaan waalo! shaitaan ke qadam ba qadam na chalo, jo shaqs shaitaani qadmo ki pairvi kare, to wo to be hayaayi aur bure kaamo ka hee hukm karega aur agar Allah ta’ala ka fazl wa karam tum par na hota, to tum mein se koyi bhi kabi bhi paak saaf na hota, lekin Allah ta’ala jise paak karna chaahe kar deta hai aur Allah sab sunne wala aur sab jaane wala hai.
📖(Surat un Noor – 24 : 21)

Aur Jo log sahi raah bata dene ke bad bhi nahi mante unka anjam Allah Taa’la ne kuch is tarah bayan kiya hai.

▫▫🍃 “agar tum ba-wajood tumhaare paas daleelen aa jaane ke bad bhi phisal jaao to jaan lo ke Allah ta’ala ghalba waala aur hikmat waala hai.
📖(Surat ul Baqara – 2 : 209)

▫▫🍃 “Jo shakhs ba-wajood raah hidaayat ke waazeh ho jaane ke baad bhi Rasool (sallallahualaihi wasallam) ke khilaaf kare aur tamaam momino ki raah chhod kar chale,hum use udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahut hee buri jagah hai.”
📖(Surat un Nisaa : 115)

Aye musalmano daro, kahi tum us bhadakti hui aag me na daal diye jaao, kahi wo zina ka pal tumhari zindagi ka akhiri pal na ho aur tum is halat me na maro ke momin na ho Jaisa ke Hadees e Rasool hai

Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
“koi shaks jab zina karta hai to ain zina karte waqt wo momin nahi hota.”
(Sahih Bukhari,5578)

Kya in Roshan Daleelo ke baad bhi ek musalman zina ke qareeb jayega aur behayaai karega❓

📮Halala Karna Haraam Wa Batil Hai

📮Halala Karna Haraam Wa Batil Hai

🌐Source : islamqa.info
✒Transliteration By : Bint e Iqbal
https://ⓣelegram.me/paighaameislam


Jab koi shakhs apni biwi ko teesri Talaq bhi de de to woh uske liye haraam ho jati hai aur us waqt tak halal nahi hogi jab tak woh kisi aur khawind(shauhar) se nikah na kar le, kyunki Allah Subhanahu Ta’ala ka farmaan hai :

🍃▫”Aur agar woh usey ( teesri ) Talaq de de to ab uske liye halal nahi jab tak woh aurat uske alawa kisi dusre se nikah na kar le.”
📖Surat ul Baqara : 230

Aur is nikah mein jo usey apne pehle khawind ke liye halal karega shart yeh hai ke woh nikah sahih ho, chunanche waqti aur kuch muddat ke liye nkah ( jise Nikah Muta’h bhi kaha jata hai ) ya phir pehle khawind ke liye biwi ko halal karne ke liye nikah kar ke phir Talaq de dena ( ya’ni nikah halala ) yeh dono haraam aur baatil hain, aam ahel ilm ka yahi qoul hai, aur is se aurat apne pehle khawind ke liye halal nahi hogi .
📒Al Mughni : 10/49-50


🔗Nikah Halala ki hurmat Nabiﷺ Ki sahih ahadees se saabit hai .

Abu Dawood me hadees marvi hai ke :

Nabiﷺ ne farmaya :

” Allah Ta’ala halala karne aur halala karwane wale par laanat kare ”
📕Abu Dawood: 2076
Is hadees ko Allamah Albani Rahimahullah ne sahih Sunan Abu Dawood mein sahih qarar diya hai .

Aur Sunan Ibn majah mein Uqbah bin Aamir Raziallahu anhu se marvi hai ke Nabiﷺ ne farmaya :

“Kya mein tumhe kiraye ya Aarayta liye gaye saandh(borrowed billy- goat) ke mutaliq na bataun❓

Sahaba Kiram ne arz kiya : Kyun nahi Ai Allah Ke Rasool aap zaroor batayen .

Toh Rasoolﷺ ne farmaya :

” Woh halala karne wala hai, Allah Ta’ala halala karne aur halala karwane wale par laanat kare ”

Sunan Ibn Majah hadees number ( 1936 ) Allamah Albani Rahimahullah ne sahih sunan Ibn Majah mein isey Hasan qarar diya hai .

Aur Abdul Razzaq ne musannif Abdul Ar Razzaq mein Umar bin khattab Raziallahu anhu se rivayet kiya hai ke unhone ne logon ko khutba dete hue farmaya :

➖” Allah ki Qasam mere paas jo halala karne aur halala karwane wala laya gaya Mai usey Rajam(to stone them) kar dunga ”
📗Musannif Abdul Razzaq ( 6 / 265 ) .

Yeh sab barabar hai aur koi farq nahi ke Aqd nikah ke waqt is maqsad ki Sarahat(clear kiya gaya ho) ki gayi ho aur us par shart rakhi gayi ho ke jab isne usey uske pehle khawind ke liye halal kar diya to woh usey Talaq de ga, ya iski shart na rakhi ho, balke unhon ne apne dil mein hi yeh niyat kar rakhi ho, yeh sab barabar hai .


🛑Imam Hakim Rahimahullah ne Naafi’ se rivayet kiya hai ke ek shakhs ne Ibn Umar Raziallahu anhuma se arz kiya :

➖Ek aurat se nikah is liye kiya ke usey pehle khawind ke liye halal karun na to is ne mujhe Hukm diya aur na woh jaanta hai, to Ibn Umar kahne lagey :

Nahi!!! , nikah to raghbat(dilchaspi/khwahish) ke sath hai, agar woh tujhe achhi lagey aur pasand ho to usey rakhe, aur agar usey napasand karo to is ko chhodh do .

▪▫Woh bayan karte hain : hum to Rasoolﷺ Ke daur mein usey zina shumaar karte they .

Aur unka kahna tha : woh zaani(Adulterers) hi rahenge chahe bees baras tak ikathhe rahen .


🛑Aur Imam Ahmed Rahimahullah se dariyaft kiya gaya ke :

➖▫Ek shakhs ne kisi aurat se shadi ki aur uske dil mein tha ke woh is aurat ko apne pehle khawind ke liye halal karega, aur is ka aurat ko ilm na tha.

To Imaam Ahmed Rahimahullah ne jawab diya :

▫”Yeh Halala karne wala hai, jab woh is se Halala ka iradah rakhe to woh mal’oon(lanat zada) hai ”

is bina par aapke liye is aurat se pehle khawind ke liye halal karne ki niyat se nikah karna jayez nahi, aur aisa karna Kabira gunah ho ga, aur yeh nikah sahih nahi balke zina hai, Allah is se mehfooz rakhe .

wallahualam

📮ILMI TAKABBUR AUR DAWATI TA’SSUB

📮ILMI TAKABBUR AUR DAWATI TA’SSUB

🖋Tehreer :Shaykh Kifayatullah Sanabili
✒Transliteration By : Bint e Iqbal
https://ⓣelegram.me/paighaameislam


Ilmi khidmat aur dawat e deen ek was’ee kaam hai aur zahir hai ke hum is ke har pehlu par kaam nahi kar sakte balke hamara imaan hai ke dawat e deen ke har maidan mein ba-ek waqt kaam karna aur uska haq ada kar lena Ambiya alaihmus salam ke alawa kisi ke liye bhi mumkin nahi hai, aur silsila nabuwat ke khatam hone ke sath yeh imtiyaz bhi khatam ho chuka hai, aaj har shakhs mahez apne zouq, istetaat aur mehdood(limited) wasayel ke baqadr hi kaam karsakta hai .
Aisi soorat mein har ek ko hasb taufeeq apne kaam mein poori mehnat wa lagan ka saboot dena chahiye, is yaqeen ke sath ke bohat saare kaam aise hain jin ki taufeeq Allah ne doosron ko di hai aur woh bhi ummat ke haq mein mufeed balke zururi hain .
Agar Koyi shakhs is khush fehmi mein mubtila hai ke dawat wa tableegh aur Irshaad e ummat ki saari zimmedariyan usi ke kandhe par hain, aur wahi tan o tanha har mahaaz( muqable) par data hua hai to woh khatam nabuwat par apne imaan ki nazar sani kare .
Allah ke Nabi ﷺ ke baad sab se behtareen giroh koi ho sakta hai, to woh sahaba e kairaam Raziallahu anhum ka giroh hai, ilm wa fiqh, zahed wa taqwa, ibadat wa riyazat, rashd wa hidayat, dawat wa tableegh, gharz kisi bhi muamla mein un ki nazeer(ham-martabah )nahi pesh ki ja sakti, un ki taleem wa tarbiyat khud Allah ke Nabi ﷺ ne ki thi, is ke bawajood Allah ke Nabiﷺ ne alag alag sahaba ke alag alag imtiyazaat batlaye :

عن أنس بن مالك، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «أرحم أمتي بأمتي أبو بكر، وأشدهم في أمر الله عمر، وأصدقهم حياء عثمان بن عفان، وأعلمهم بالحلال والحرام معاذ بن جبل، وأفرضهم زيد بن ثابت، وأقرؤهم أبي بن كعب ولكل أمة أمين وأمين هذه الأمة أبو عبيدة بن الجراح»

Anas bin Malik Raziallahu anhu kehte hain ke Rasoolﷺ Ne farmaya : Meri ummat mein sab se ziyada meri ummat par reham karne wale Abu Bakr Raziallahu anhu hain, Allah ke deen mein sab se ziyada sakht aur mazboot Umar Raziallahu anhu hain, Haya mein sab se ziyada Haya wale Usman Raziallahu anhu hain, sab se behtar Qaazi Ali bin abia talib Raziallahu anhu hain, sab se behtar Qaari Abi bin Ka-ab Raziallahu anhu hain, sab se ziyada halal wa haram ke janne wale Maaz bin Jabal Raziallahu anhu hain, aur sab se ziyada faraiz ( taqseem meeras ) ke janne wale Zaid Bin Saabit Raziallahu anhu hain, Suno! har ummat ka ek Ameen hua karta hai, aur is ummat ke Ameen Abu Ubaidah bin Jarah Raziallahu anhu hain.
[ Sunan Ibn Majah Raqam 154, wa Isnaad sahih ]

➖Jab Sahaba e Kiraam Raziallahu mein bhi baaz sahaba ke paas kuch aisa hota tha jo doosre sahaba ke paas na hota, to aaj ke is daur ka koi shakhs tan o tanha saari khoobiyon ka thekedaar kaise ho sakta hai is liye apni hadon ka ilm aur doosro ke imtiyazaat ka aitraaf(qubul karna) zururi hai .
Kuch log garche apne aap ko harfan maula nahi samajhte aur apne kaam ko bhi naaqis(adhura) hi shumaar karte hain lekin woh is baat par itraate hain ke un ki nazar mein deen ka kaam bas wohi hai jo woh kar rahe hain baqi saare log fuzool, layani aur ghairmufeed kaamo mein lagey hue hain .
➖Kisi ne ghair musalmano mein Quran ke do chaar nuskhe baant diye ab majaal hai ke kisi alim, kisi idaara, kisi tanzeem, kisi tehreek ke yahan usey deen ki koi dawat nazar aaye, balke aise kaamo ko dawat ka naam dena hi uski nazar mein bohat badi jahalat hai .
▪▫Kisi ne do eent ka madarsa qayem karliya ab uski nazar mein wohi islam ka qilah hai, jo bhi is se la’talluq hua woh ”لیس منا“ ka misdaaq aur tabahi o barbadi ki taraf rawan dawaan hai (Yani jisne beta’lluqi barti unki nazar me wo unme se nahi raha aur gumrahi ki taraf chal diya.)
➖Taqabul masalik(mukhtalif maslak) se mutaliq kisi ne do chaar baaten seekh li, ab usi par behas wa munazrah karne wale hi iski nazar mein islam ke Daiee hain, aur jo is mein dilchaspi na le ya is kaar khair mein unka taawun na kare woh jaahil aur be ghairat insaan hai .
▫▪Kisi ne waaz wa nasihat(mazhabi taqreer) ki chand majlisen munaqid karli, Ab zahed wa taqwa ke jumle huqooq isi ke paas mehfooz hain(yani taqwe se Ta’lluq rakhne wale sare umoor goya usi ke paas mahfooz hain) , baqi saare log fasiq o fajir hain .
Gharz ke jise dekho wohi bas apne kaam hi ko asal kaam bawar kar raha hai aur baqi logon ko nakaam aur nakara shumaar karta phirta hai .
Un mein kuch log na samajh hain, aur ghalat fehmi ke shikaar hain, jabke kuch log yeh zehen bana kar baithe hain ke apni Qadr wa qeemat aur apne kamon ki ahmiyat saabit karna hai to doosron ki tanqees(aib nikalne) o mazammat mein lag jao .
Is tarah ki uchhal kood ke peeche shohrat talbi maqsood ho ya ashaab khair ke dast taawun ko apni taraf mayel karna matloob ho, baher e soorat yeh ek chhichhori harkat hai, aap ek mufeed(faidemand) aur nek kaam kar rahe hain yeh bohat achi baat hai, lekin kya apne kaam ko mufeed aur nek saabit karne ke liye bas yahi ek rasta bacha hai ke doosron ki tanqees aur mazammat karte phiro❓
▫▫▫▫▫▫▫▫

📮SALEH SE MOHABBAT AUR MUSLIH SE NAFRAT

📮SALEH SE MOHABBAT AUR MUSLIH SE NAFRAT
▫(Saleh yani Sirf Apni islah karne wala aur Muslih yani poori qaum ki islah karne wala)

🖋Tehreer : Shaykh Shahid Sanabili(حفظه الله)

Romanised By ; Bint e Iqbal


Agar aadmi nek aur saleh ho to log usey pasand karte hain lekin wahi aadmi muslih ban jaye to usey log napasand karna shuru kar dete hai.
Isiliye aap dekhte hai ke log saliheen yani nekon se muhabbat karte hain. Jabke musliheen se amuman bughz wa adawat(Hasad, nafrat) rakhte hain. Makkah wale Muhammad ﷺ ko nabuwat se pehle pasand karte the lekin jaise hi Allah Ta’ala ne unhe Rasool banaya aur woh muslih(corrector) ke taur par apni qaum me ubhre to log unse adaawat wa dushmani karne lage. Yahan tak ke Jadoogar , kazzab(jhoota) aur majnoon(diwana) tak kah diya.
Iski wajah ye hoti hai kyunki log muslih ko apni nafsani khwahishaat ki raah me roda aur rukawat samajhte hain.
Baaz ahle Ilm ka kehna hai: Ek muslih Allah ke nazdik ek hazar Saliheen se behtar hota hai kyunki ek muslih ki badaulat Allah Ta’ala Puri qaum ki hifazat farmata hai jab ke ek saleh insan sirf apne aap ki hifazat karta hai.
Isliye Allah Ta’ala ne farmaya :

◻”( وَمَا كَانَ رَبُّكَ لِيُهْلِكَ الْقُرَىٰ بِظُلْمٍ وَأَهْلُهَا مُصْلِحُونَ)”

🍃◻”Tera Rab aisa nahi hai ke bastiyon ko na-haq tabaah kar de halanke unke bashinde islah karne wale hon. ”
📖Surat Hood :117

▪Ghaur Kijiye is ayat me Yaha Allah Ta’alaa ne ” salihoon” nahi balki ” muslihoon” kaha hai.


📮WAHI E ILAHI PAR APNI AQAL KO MUQADDAM KARNE KA BHAYANAK ANJAAM

📮WAHI E ILAHI PAR APNI AQAL KO MUQADDAM KARNE KA BHAYANAK ANJAAM


Nooh alaihis salam ki qoum par tufaan ki shakal mein jab azaab aaya to Nooh alaihis salam aur un ke bete ke darmiyan jo guftgu hui usko Allah Ta’ala ne Surat Hood aayat number 43 ke andar bayan farmaya hai. Is aayat se Sheikh ul Islam Ibn Taymiyah Rahimahullah ne bohat hi mayne khez nukta nikala hai, farmate hain :

➖Nooh alaihis salam ke bete ka yeh Kehna Ke :

( قَالَ سَآوِي إِلَى جَبَلٍ يَعْصِمُنِي مِنَ الْمَاء)

“🍃▫Mein abhi kisi pahaad ki panah le lunga jo mujhe pani se bacha lega .”
(Surat Hood, ayah :43)

(Yeh khalis aqal parasti hai.)


➖Aur Nooh alaihis salam ka apne bete ke jawab mein yeh farmaya Ke :

(قَالَ لا عَاصِمَ الْيَوْمَ مِنْ أَمْرِ اللَّهِ إِلا مَنْ رَحِم)

” 🍃▫Aaj Allah ke hukum se koi kisi ko bachane wala nahi hai, siwaye uske jis par woh hi Rahem farmade”.
(Surat Hood, ayah :43)

( Yeh khalis wahi e illahi hai.)


(وَحَالَ بَيْنَهُمَا الْمَوْجُ فَكَانَ مِنَ الْمُغْرَقِين)

🍃▫”Iske baad unke darmiyan mouj hayel hogayi, aur doobne walon mein woh bhi shaamil hua .”
(Surat Hood, ayah :43)


▪▫To yeh hai wahi e illahi par apni aqal ko muqaddam karne aur tarjeeh(priority) dene ka anjaam.

▫▪▫Lehaza jo shakhs quran o sunnat par apni aqal ko tarjeeh dega to uska anjaam aur nateeja yahi hoga ke woh bida’at o khurafaat ke samandar mein doob jayega, isi tarah jo shakhs apni aqal ke zariye Shariat ki mukhaalfat karne ki aadat bana le to aise shakhs ke dil mein imaan apni jagah nahi bana sakta.


📕 [ درء تعارض العقل والنقل (1/187) ]

📮SAHABA E KIRAAM : ALLAH KA INTEKHAAB

📮SAHABA E KIRAAM : ALLAH KA INTEKHAAB

🖊Shaykh Sarfaraz Faizi(حفظه الله)
Romanised By : Bint e Iqbal


Allah ke Nabi ﷺ jis deen ko le kar is duniya mein maboos kiye gaye usey qayamat tak ke logon ke liye Falah aur nijaat ka wahid rasta banna tha. Iske liye zaroori tha ke yeh deen qayamat tak zahiri aur manwi dono aitbaar se mehfooz aur motbar rahe. Iski hifazat ke liye Allah ne jo intizamaat kiye un mein se ek yeh bhi tha Allah Rabbul izzat ne apne Nabi ko insaniyat ke zakheere se chuninda afraad ki rifaqat naseeb farmayee.Jin ki adalat par Allah ne is deen ke aitbaar ki bunyaad rakhi. Jinko insani tareekh mein haq o baatil ke darmiyan hone wali sab se ahem kashmakash mein haq ka hissa ban’ne ki Sa’adat mili. Jinki qurbaniyon ne insani tareekh ka sabse bada inqalab barpaa kiya jisne insaniyat ke ek-ek goshe ko apni tabnakiyon se roshan kiya . Jinko Allah ne is zameen par utari jaane wali apni azeem tareen kitaab ke shaan e nuzool ka hissa ban’ne ke liye muntakhab farmaya. Jinko is kaayenaat ki sab se azeem hasti ki shagirdi ke aizaz se sarfraz kiya gaya. Jinki qurbaniyon ne is deen e azeem ki buniyadon ko taqwiyat bakhshi. Jinko Allah ne apne azeem Nabi ﷺ ki azeem ummat ke darmiyan waasta banne ka Sharf ataa farmaya .
Sahaba ka Allah ke Nabiﷺ ke daur mein paida hojana, aap par imaan laa kar sahabiyat ke azeem Sharf se Musharraf hojana koi ittifaqi haadsa nahi tha. Yani aisa nahi ke kuch log ittifaq se Allah ke Nabi ﷺ ke zamane mein paida hogaye aur ittifaq se Allah ke Nabiﷺ unke zamane mein maboos kardiye gaye aur ittifaq se woh unpar imaan le aaye aur sahabiyat ke Sharf se Musharraf hogaye. Balki Allah Rab ul izzat ne ibtida e kaayenaat se qayamat tak paida hone wale saare afraad mein kamalaat insani mein Fayeq tareen logon ko chunkar apne mehboob Nabiﷺ ke rifaqat ka Sharf bakhsha. Abdullah Ibn Abbas ki yeh mauqoof riwayat mulahiza farmayen :

عَنْ عَبْدِ اللہِ بْنِ مَسْعُودٍ، قَالَ: ” إِنَّ اللہَ نَظَرَ فِی قُلُوبِ الْعِبَادِ، فَوَجَدَ قَلْبَ مُحَمَّدٍ صَلَّی اللہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ خَیْرَ قُلُوبِ الْعِبَادِ، فَاصْطَفَاہُ لِنَفْسِہِ، فَابْتَعَثَہُ بِرِسَالَتِہِ، ثُمَّ نَظَرَ فِی قُلُوبِ الْعِبَادِ بَعْدَ قَلْبِ مُحَمَّدٍ، فَوَجَدَ قُلُوبَ أَصْحَابِہِ خَیْرَ قُلُوبِ الْعِبَادِ، فَجَعَلَہُمْ وُزَرَاءَ نَبِیِّہِ، یُقَاتِلُونَ عَلَی دِینِہِ، فَمَا رَأَی الْمُسْلِمُونَ حَسَنًا، فَہُوَ عِنْدَ اللہِ حَسَنٌ، وَمَا رَأَوْا سَیِّءًا فَہُوَ عِنْدَ اللہِ سَیِّءٌ “.
▫🍃Abdullah Ibn Masood farmate hain Allah ne bandon ke dilon ko dekha to sab se behtareen dil Mohammad ﷺ ka paaya. Lehaza unhen apne liye chunn liya aur apna Rasool bana kar inhen maboos farma diya. Iske baad doosre logon ke dilon ko dekha to sab se behtareen ashaab e Mohammad ka dil paaya, to unko apne Nabi ka saathi bana diya. Jo Uske deen ke liye qitaal karte hain. Lehaza jisko ( yeh ) musalman aaccha samjhen woh Allah ke nazdeek bhi aaccha hai aur jisko yeh bura samjhen woh Allah ke nazdeek bhi bura hai .
📒( مسند احمد ، شیخ شعیب ارناؤط اور ان ساتھی محقیقین نے اس حدیث کے حسن ہونے کا فیصلہ کیا ۔ مسند أحمد ط الرسالۃ 6/ 84)

📮Sahaba e Kiraam Nabiﷺ Ko Ataa Kiya Gaya Mojzah

📮Sahaba e Kiraam Nabiﷺ Ko Ataa Kiya Gaya Mojzah

🖊Tehreer : Shaykh Sarfaraz Faizi(حفظه الله)

Romanised By : Bint e Iqbal


Duniya kabhi azeem shakhsiyaat ke wujood se khaali nahi rahi hai. Insani tareekh ka har baab badi badi inqalabi shakhsiyaat ke azeem karnamon se roshan hai. Mukhtalif zamanon mein mukhtalif shakhsiyaten apne azm wa haunsle ki dastanon se is duniya ko Munawwar karti rahi hain. Zameen ka koi na koi gosha hamesha unke Fayooz o Barkaat se faizyaab hota raha hai. Lekin Allah ke Nabiﷺ ke sath sahaba jaisi azeem shaksiyaat ka ek jagah jama hojana apne aap mein ek mojzah hai. Tareekh ke kisi ek marhale ki nishandahi nahi ki ja sakti jahan ek waqt mein ek jagah par itne saare azeem log ek sath jama hogaye hon. Isiliye sahaba ka kirdaar aur woh muashra jo is kirdaar ki bunyaad mein wujood mein aaya Allah ke Nabi ﷺ ki risalat ki bohat badi Daleel hai. Aise a’ala tareen insani sifaat ke haamil azeem kirdaar, pakeeza zindaganiyan kisi Nabi ki tarbiyat ke nateeje hi mein wujood mein asakati hain. Isiliye Allah Rabb ul izzat ne Quran Majeed mein sahaba ke kirdaar aur unki a’ala sifaat ko Nabiﷺ ki risalat ki Daleel ke taur par pesh kiya hai. Surah fateh ki is aayat mein ghaur karen :

Surat No 48 : Ayat No 29

مُحَمَّدٌ رَّسُوۡلُ اللّٰہِ ؕ وَ الَّذِیۡنَ مَعَہٗۤ اَشِدَّآءُ عَلَی الۡکُفَّارِ رُحَمَآءُ بَیۡنَہُمۡ تَرٰىہُمۡ رُکَّعًا سُجَّدًا یَّبۡتَغُوۡنَ فَضۡلًا مِّنَ اللّٰہِ وَ رِضۡوَانًا ۫ سِیۡمَاہُمۡ فِیۡ وُجُوۡہِہِمۡ مِّنۡ اَثَرِ السُّجُوۡدِ ؕ ذٰلِکَ مَثَلُہُمۡ فِی التَّوۡرٰىۃِ ۚ ۖ ۛ وَ مَثَلُہُمۡ فِی الۡاِنۡجِیۡلِ ۚ ۟ ۛ کَزَرۡعٍ اَخۡرَجَ شَطۡئَہٗ فَاٰزَرَہٗ فَاسۡتَغۡلَظَ فَاسۡتَوٰی عَلٰی سُوۡقِہٖ یُعۡجِبُ الزُّرَّاعَ لِیَغِیۡظَ بِہِمُ الۡکُفَّارَ ؕ وَعَدَ اللّٰہُ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا وَ عَمِلُوا الصّٰلِحٰتِ مِنۡہُمۡ مَّغۡفِرَۃً وَّ اَجۡرًا عَظِیۡمًا ﴿۲۹﴾٪

▫🍃”Mohammadﷺ Allah ke Rasool hain, aur jo log un ke sath hain woh kafiron par sakht aur aapas mein Rahem dil hain. Tum jab dekhoge inhen ruku o sujood, aur Allah ke fazl aur uski khushnoodi(razamandi) ki talab mein mashgool paaoge. Sujood ke asraat unke chehron par maujood hain jinse woh alag pehchane jate hain. Unki yeh sifat Tauraat mein bhi bayan hui hai aur Injeel mein bhi, jaise ek kheti ho jisne apni konpal nikaali phir usey mazboot kiya aur wo mota ho gaya phir apne taney lar sidha khada ho gaya aur kisaano ko khush karne laga ta ke kuffar unke phalne phoolne par jalein. Allah ne un logon se jo ( khuloos dil se ) imaan laaye hain aur jinhon ne nek amal ( bhi ) kiye hain maghfirat aur ajar Azm ka wada farmaya hai .”

➖Is aayat me
مُحَمَّدٌ رَّسُوۡلُ اللّٰہِ ؕ
ek daawa hai aur is ki Daleel un sahaba ka kirdaar hai jo Aap ke rifqa tehreek hain(ideal Hain) ke un kirdaaron ki khoobsurat tarbiyat aur nuqoosh(jo dusron ke Dilon par chha jaayen) ye mahez Aap ki risalat ki Nigarish hi ka nateeja ho sakte hain .

📮INSAAN KE KHILAF 8 GAWAH

📮INSAAN KE KHILAF AATH GAWAH

🖊Tehreer : Hafiz Khalil Sanabili

Romanised By : Bint e Iqbal
https://ⓣelegram.me/paighaameislam


Yun to bande ko hamesha Allah se darte hue ghalat kamon aur baton se bachna chahiye lekin agar bashri taqaze ke mutabiq banda ghaltiyon ke qareeb jata hai to koi bhi ghalat kaam karne ya ghalat baat bolne se pehle usey yeh yaad rakhna chahiye ke koi iske aas paas ho nah ho lekin woh khud tanhai mein bhi apne khilaaf kayi gawahon ko tayyar kar leta hai jin ka zikar quran mein aaya hai :

🛑1.Aankh, 2.Kaan 3.Dil

اِنَّ السَّمۡعَ وَ الۡبَصَرَ وَ الۡفُؤَادَ کُلُّ اُولٰٓئِکَ کَانَ عَنۡہُ مَسۡئُوۡلًا ﴿۳۶﴾

🍃▫”Beshak kaan, aankh aur dil un mein se har ek se sawal kiya jayega.”
📖(Surat-Bani Israeel: 36 )

🛑4.Zaban,5.Haath,6.Pair

یَّوۡمَ تَشۡہَدُ عَلَیۡہِمۡ اَلۡسِنَتُہُمۡ وَ اَیۡدِیۡہِمۡ وَ اَرۡجُلُہُمۡ بِمَا کَانُوۡا یَعۡمَلُوۡنَ ﴿۲۴﴾

🍃▫”Jis din unke khilaaf un ki zabaanen, unke haath aur pair unke aamaal ki gawahi denge.”
📖Surat-un-Noor:24

🛑7.Insani Khaal

حَتّٰۤی اِذَا مَا جَآءُوۡہَا شَہِدَ عَلَیۡہِمۡ سَمۡعُہُمۡ وَ اَبۡصَارُہُمۡ وَ جُلُوۡدُہُمۡ بِمَا کَانُوۡا یَعۡمَلُوۡنَ ﴿۲۰﴾

🍃▫”Yahan tak ke jab woh bilkul jahannum ke paas aa jayen ge to unke khilaaf unke kaan, unki ankhen aur unki khaalen unke aamaal ki gawahi dengi.”
📖Surat Ha-Meem-Assajdah:20

🛑8.Aamaal Naama
Ek aur gawah jis ko aap is fehrist mein shaamil kar satke hain woh hai aap ka aamaal nama jise insaan ke sath maujood do farishte har waqt likh rahe hain aur jis ke baare mein khud insaan kahega”

لَا يُغَادِرُ صَغِيرَةً وَلَا كَبِيرَةً إِلَّا أَحْصَاهَا ۚ”
🍃▫ke is ne to chhota bada koi gunah nahi chhoda , sab is mein shaamil hain .
📖Surat-ul-Kahaf:49

Facebook Page ➖https://www.facebook.com/Paighaam-e-Islam-190972424836684/

📮ALLAH TA’ALA KI DAS TAKEEDI NASEEHATEN

📮Allah Ta’ala Ki “Das” Takeedi Naseehaten

🌐Source : islamqa.info
✒Romanised By : Bint e Iqbal
https://ⓣelegram.me/paighaameislam


🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم🍃

Surah al-Anaam mein Allah Subhanahu Ta’ala ka farman hai :
“Aap kah dijiye ke Aao mein tum ko woh cheeze padh kar sunaaun jin ko tumhare Rab ne tum par haraam kiya hai.

▫1▪Woh yeh ke Allah Ta’ala ke sath kisi cheez ko shareek mat thahraao

▪2▫Aur Maa Baap ke sath ahsaan karo

▫3▪Aur apni aulaad ko aflaas(poverty) ke sabab qatal na karo, hum tumhe aur un ko bhi rizq dete hain ,

▪4▫Aur behayaai ke jitne tareeqe hain un ke qareeb bhi mat jaao khwah elaniya hon khwah posheeda

▫5▪Aur jis ka khoon karna Allah Ta’ala ne haraam kardiya hai usko qatal mat karo, haan magar haq ke sath

unka tumhe takeedi hukum diya hai taake tum samjho .

▪6▫Aur yateem ke maal ke paas na jaao magar aise tareeqe se jo ke mustahsan ho yahan tak ke woh apne sann Rashd(maturity) ko pahonch jaaye

▫7▪Aur naap-tol poori poori karo insaaf ke sath ,

hum kisi shakhs ko uski taaqat se zyada takleef nahi dete ,

▫8▪Aur jab tum baat karo to insaaf karo go wo shakhs qarabatdaar hi ho

▪9▫Aur Allah Ta’ala se jo ahed liya hai usey poora karo inka Allah Ta’ala ne tumhe takeedi hukm diya hai taake tum yaad rakho .

▫10▪Aur yeh ke yeh deen mera raasta hai jo mustaqeem hai, so iss raah par chalo, aur doosri raahon par mat chalo ke woh rahein tum ko Allah Ta’ala ki raah se juda kar dengi

Is ka tumko Allah Ta’ala ne takeedi hukum diya hai taake tum parhez gari ikhtiyar karo
📖Surat-ul-Anaam ( 151- 153 )


🍃📝Surat Bani Israeel mein Allah Subhanahu Ta’ala ka irshad jo ke Surat-ul-Anaam wali ayaat ki sharah lagti hai usmein kuch is tarah zikar kiya gaya hai jis ka tarjuma yeh hai :

▫▪Aur aap ka Rab saaf saaf hukm de chuka hai ke tum uske siwa kisi aur ki ibadat nah karna

▪▫Aur Maa Baap ke sath ahsaan karna, agar teri maujoodgi mein un mein se ek ya woh dono budhape ko pahonch jayen to unke aagey uff tak na kehna, aur nah hi unhen daant dapat karna balke unke sath adab o ahtram se baat cheet karna, aur aajzi aur mohabbat ke sath unke samne tawazo ka baazu past kiye rakhna(and lower to them the wing of humility out of mercy) aur dua karte rahna ke Ai mere Rab unpar waisa hi reham kar jaise ke unhon ne mere bachpan mein parwarish ki hai

Jo kuch tumhare dilon mein hai usey tumhara Rab bakhoobi jaanta hai agar tum nek ban jaao to beshak Allah Ta’ala rujoo karne walon ko bakhshne wala hai .

▫▪Aur rishte daaron aur miskeeno aur musafiron ka haq ada karte raho

▪▫Aur israaf aur beja kharch se bacho, beja kharch karne wale shaitano ke bhai hain, aur shaitan apne Rab ka bada hi nashukara hai .

▫▪Aur agar tujhe apne Rab ki rehmat ki justju me unse mun pher lena pade jis rehmat ki tu umeed rakhta hai to bhi tujhe chahiye ke umdagi aur narmi se unhen smjha de .

▪▫Aur apna hath apni gardan se bandha hua nah rakh aur nah usey bilkul hi khol de ke phir malamat kiya hua dar mandah baith jaye(and became blamed and insolvent)

Yaqeenan aap ka Rab jis ke liye chahe rozi kushadah kardeta hai aur jis ke liye chahe tang kardeta hai, yaqeenan woh apne bandon se bakhabar aur khoob dekhne wala hai .

▫▪Aur muflisi ke khauf se apni aulaad ko qatal nah kardo inhen aur tumhe bhi hum hi rozi dete hain, yaqeenan un ka qatal karna kabeera gunah hai .

▪▫Khabardaar! zina ke qareeb bhi nah bhatakna kyunke woh badi behayaai aur bohat hi buri raah hai .

▫▪Aur kisi jaan ko jis ka maarna Allah Ta’ala ne haraam kardiya hai usey hargiz na-haq qatal nah karna, aur jo shakhs mazloom hone ki soorat mein maar daala jaye hum ne uske waris ko taqat de rakhi hai pas usey chahiye ke maar daalne mein zayadti nah kare beshak woh madad kiya gaya hai .

▪▫Aur yateem ke maal ke qareeb bhi nah jao siwaye us tareeqe ke jo behtar ho, yahan tak ke woh apni bulooghat ko pahonch jaye Aur waade poore karo kyunke qoul-o-qarar ki Baaz purs hone wali hai .

▪▫Aur jab naapne lago to bharpoor paimane se naapo aur seedhi tarazoo se tola karo yahi behtar hai, aur anjaam ke lehaaz se bhi ahcha hai .

▫▪Jis baat ki tujhe khabar hi nahi uske peeche mat pado kyunki kaan aur aankh aur dil un mein se har ek se pooch-gach ki janey wali hai .

▪▫Aur zameen mein akad kar nah chal ke nah to tu zameen ko phaad sakta hai aur nah hi lambaai mein pahadon tak hi pahonch sakta hai .

In sab kamon ki buraai tere Rab ke nazdeek ( sakht ) napasand hain .

Yeh bhi munjmila us wahi mein se hai jo teri taraf tere Rab ne hikmat se utari hai to Allah ke saath kisi aur ko mabood nah banana ke malamat khorda aur randh e dargaah(blamed and banished) ho kar dozakh mein daal diye jao
📖Surat-Bani israeel ( 23-39 )

Wallahualam

📑Follow Our Facebook Page

https://www.facebook.com/Paighaam-e-Islam-190972424836684/